Ghalib Best Poetry : Wo aaye ghar mein (Full Poem in Roman English)
ye hum jo hijr mein diwar-o-dar ko dekhte hain
kabhi saba ko kabhi nama-bar ko dekhte hain
wo aaye ghar mein hamare khuda ki qudrat hai
kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain
nazar lage na kahin us ke dast-o-bazu ko
ye log kyun mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain
tere jawahir-e-turf-e-kulah ko kya dekhen
hum auj-e-tala-e-lal-o-gohar ko dekhte hain – Mirza Ghalib
Ghalib Best Poetry : Wo aaye ghar mein (Full Poem in Hindi)
ये हम जो हिज्र में दीवार-ओ-दर को देखते हैं
कभी सबा को कभी नामा-बर को देखते हैं
वो आए घर में हमारे ख़ुदा की क़ुदरत है
कभी हम उन को कभी अपने घर को देखते हैं
नज़र लगे न कहीं उस के दस्त-ओ-बाज़ू को
ये लोग क्यूँ मिरे ज़ख़्म-ए-जिगर को देखते हैं
तिरे जवाहिर-ए-तुर्फ़-ए-कुलह को क्या देखें
हम औज-ए-ताला-ए-लाला-ओ-गुहर को देखते हैं – मिर्ज़ा ग़ालिब
मायने
हिज्र = बिछोह, दोवारो-दर = दीवारे और दरवाजे, नामाबर = पत्र वाहक, दस्तो बाजू = हाथो और बाहों को, जख्मे-जिगर = दिल के घाव
Click on for Greatest creations of poetry
Source